now on

tv

"Sila Aur Jannat" pagal aur zalim dadi ka zameer jaag gaya?

Shaam 7 baje "Sila Aur Jannat" ki taza qist main sagay betay Zaman ke hathon ghar se nikalay janay ke baad Zehra Sultana ko ehsas hoga kay Sila Aur Jannat hi iss ki asal khair khwan theen jin ko soteli potian honay ke bais woh apnay mazalim ka nishana banati rahi.

Zehra Sultana ko agar-chay ab pagal qarar dia ja chuka hai magar shayed taza qist main iss ka zameer jagay aur woh aik barha dramai U-Turn le baithay. Zaman, Saba aur Rubina ko taza qist main aik naye tashweesh yeh hogi ke Zehra Sultana agar Rubina ke ghar main nahi hain tou aakhir kahan hain?